Sacred Siddh Mantras
Mantras for Daily Jaap
सिद्ध मंत्र — नित्य जाप
Spiritual Progress
Mansik Jaap & Dhyaan
मानसिक जाप एवं ध्यान साधना
Practice 1
Mansik Jaap and Dhyaan
Ek hi mantra ka dinbhar chalte firte bolkar yah mansik jaap karte raho.
Din mai 1 to 3hrs 2 agarbatti jalakar aasan par baithkar ussi mantra ka mansik jaap with dhyaan kare.
Practice 2
Choice of Mantra
Koi bhi mantra ka jaap kar sakte hai. Humari sari siddhiyo ka access Gayatri Mantra aur Surah Ikhlas se juda hua hai.
Gayatri Mantra
ॐ भूर्भुवः स्वः
तत्सवितुर्वरेण्यं
भर्गो देवस्य धीमहि
धियो यो नः प्रचोदयात्
Om Bhur Bhuvaḥ Svaḥ…
Surah Al-Ikhlas
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ
اللَّهُ الصَّمَدُ
Qul Huwa Allahu Ahad…
Practice 3
Prayers with Incense and Herbs
Lobaan, Guggal, Camphor, Bakhoor, yah Agarbatti etc jalaya karo jab zikr/jaap/padhai karne baitha. Kam se kam 3hrs daily aadat daldo — future ke liye sab kaam aasan ho jayega. 3hrs nahi kar sakte to apne time ke according jitna bhi time baithna chahe baith sakte hai.
Practice 4
Tratak with Mansik Jaap for Drishti
Drishti ke liye bindu tratak ka prayog karein, mansik jaap ke saath. Isse concentration power badhati hai. Is sadhna se divya drishti khulti hai aur vyakti apne antaatiman ki gehraaiyo ko samajh sakte hain.
Practice 5
Regular Havan for Spiritual Progress
Havan kiya karo roz, roz nahi to twice or thrice a week. Woh bhi na kar sako to once a week yah to kam se kam Amavasya and Poornima. Amavasya aur Poornima devtao aur pitr ke liye hai. Un dino daan, dharam, pooja, jaap, havan etc. karne se direct pitriancestors aur family ke navgrah aur spiritual guides par kaam hota hai.
| ✦ श्रीफल | ✦ छु आरे | ✦ लोबान | ✦ गाय का देशी घी |
| ✦ बादाम | ✦ काज | ✦ कमलगा | ✦ कसमीस |
| ✦ अखरोट | ✦ काले तील | ✦ जो | ✦ गुड़ |
| ✦ शहद | ✦ गुगल | ✦ दालचीनी | ✦ हरी इलाइची |
| ✦ इलाइची बड़ी | ✦ तग | ✦ लाल चंदन | ✦ सफे द चंदन |
| ✦ जायफल |
Practice 6 — Important
Avoiding Negative Rituals
Ghar mein diya, dhaga, taweez, yantra, pillar ki photo yah guru ko sthan ya kisi aur cheez ko nahi rakhein jo aapke progress ko rok sakti hai.
Inke rituals ko sahi tarike se na manne se nuksan ho sakta hai. Ghar mai yah sharir par kisi ka diya dhaga, taweez, yantra waghera hai aur agar uske rituals follow nahi karte to usse utar kar pani may daal de.
Yeh saari cheezay energy pull karne ka kaam karti hai jiski wajah se saar jaap, aura, shakti, energy positive and negative imma jama ho jati hai. Jiski wajah se aapki progress nahi ho pati aur inki siddhiya aur shaktishali hojati hai.
Inke rituals follow na karne par yeh fayda kam nuksan zyaada karti hai. Isse behtar hai yah to nikal do yah inke rituals ko sahi tarah se follow karo.
Material Benefits
Bhog vs. Spiritual Puja
भोग एवं भौतिक लाभ — सही समझ
When offerings (bhog) are made to pictures, diya, or idols without proper sadhana and mantra, it does not create spiritual progress — it attracts pret (departed souls) who begin to consume the offered energy, and then start influencing family members.
- Bhog chadane se sirf material plane par asar hota hai — spiritual upliftment nahi hota
- Bina sahi sadhana ke bhog se pret shaktiyan aakarshit hoti hain
- Yeh pret family members mein apna prabhav dalna shuru karte hain
- Sahi puja voh hai jisme mantra, dhyaan, aur sadhana shaamil ho
True material benefits — wealth, health, harmony — flow naturally when your spiritual foundation is strong. The correct sequence is sadhana first, then material blessings follow as a byproduct.
- Regular mantra jaap — especially your siddh mantra — creates a protective and abundant field
- Dhyaan and inner cleanliness invite divine grace rather than pret interference
- Offerings made after proper sadhana reach the correct divine energies
- Consistent practice brings material stability, client flow, health, and family harmony
Healing Ritual
Terminal Illness — Family Healing
गंभीर रोग से परिवार के सदस्य की चिकित्सा
- Sabse pehle, ek nariyal lena hai aur use kalawe se 7 bar bandhna hai. Har bar ek ghaat (knot) bandhna hai, jisse total 7 ghaat (knots) ho.
- Us nariyal ko fir 7 bar us family member par se ghoomna hai — 7 bar clockwise aur 7 bar anticlockwise.
- Ab uss nariyal ko ek ghamle ya pot mein daal dena hai, jaise koi paudha laga diya ho.
- Daily rituals practice mai subah aur shaam ko pooja ke waqt, us pot par do agarbatti jala ke lagana hai.
- Usi samay, din mai do baar, ek glass pani mein kuch kuch boond gangajal milake us pot mai daal dena hai. Is prayasna ke dauraan aap Pray karengay ki Karim Bhia ki Dhanvantri, Ashvins, aur Shrushut Bhagwan ki siddhiya humare (Rogi ka naam aur rishta) ki saari bimari, dard, aur taklif ko iss sthan mai bhej de aur unko Heal Kare.
- Iske baad, jo bhi mantra ka aap roz jaap karte hai uski 3 mala Dhanvantri, Ashvins, aur Shrushut Bhagwan ke naam pe jaap samarpit karein.
- Agar kisi karanvarsh kisi din aap bhool jaate hain ya kisi kaam mein vyasth rehte hain, to pehle shama maang lein, aur phir us din kisi dusre samay ya taareeq par us prayasna ko pura karein.
- Amavasya aur poornima ke din, ek chhota cup doodh mein ek chammach gangajal aur ek chammach ghee milake us paudhe mai daal de.
- Iske alawa, kisi bhi samay, kisi bhi taklif ke samay, aap mujhse sampark kar sakte hain.
Yeh prayasna ek aisa vidhi hai jisme aapke parivar ke sadasyon ke dukh-dard ko ek naye sthan (paudha) mai transfer karte hain, jahan Dhanvantri, Ashvins, aur Shrushut Bhagwan ki siddhiya unki Healing mai madad karti hain.
Walk the path of inner light — book a personal session for guided mantra diksha and spiritual progress.